
Abdul Rahman KhatriArtistUrdu
Ae Mere Hamnasheen
Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal
Is chaman me hamara guzara nahin
Baat phoolon ki hoti to sah lete ham
Ab to kaanton me bhi haq hamara nahin
Jab bhi ahl-e-chaman ko zarurat padi
Khoon hamne diya, gardanen pesh ki
Phir bhi kahte hain hamse yeh ahl-e-chaman
Yeh chaman hai hamara, tumhara nahin
Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal
Is chaman me hamara guzara nahin
Baat phoolon ki hoti to sah lete ham
Ab to kaanton me bhi haq hamara nahin
Dekhte dekhte azmaten mit gayin
Izaaten lut gyin, ghairaten bik gayin
Aise jeene se behtar hai mar jaayen ham
Aisa jeena to hamko gawara nahin
Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal
Is chaman me hamara guzara nahin
Baat phoolon ki hoti to sah lete ham
Ab to kaanton me bhi haq hamara nahin
Zulmat-e-shab ne ghera hua hai hamen
Kuch dikhaayi nhi de rha kya karen
Mahr-o-maato badi cheez hai dosto
Raushni ke liye ek sitara nahin
Ae mere hamnasheen chal kahin aur chal
Is chaman me hamara guzara nahin
Baat phoolon ki hoti to sah lete ham
Ab to kaanton me bhi haq hamara nahin
The relevance today is deep!!
zaalimo apni kismat pay Naza Na Ho Daur badlega yah waqt bhi aaega vah jaruri sunega hamari sada kya tumhara khuda hai hamara nahin