ArtistIrfan Abu BakrShaz KhanUrdu

Apna Bana Liya


3844 downloads

Ahmad-o-mujtaba
Ahmad-o-mujtaba

Sab jante hue bhi gale se laga liya
Mujhse gunahgar ko apna bana liya

Taiba mein aake randa-e-dargah-e-sheikh mein
Aaghosh mein haram ki nasheman bana liya

Rindo ne aaj gumbad-e-khazra ke saaye mein
Jashn-e-‘ata-e-saaq-e-kausar mana liya

Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya

Dekhe na koi hashr mein roo-e-siyah ka
Un mere dayer rahmate haq mein chhupa liya

Padhte hue durood-o-salaat-o-salam-o-naat
Maine azab-e-hashr se khud ko bacha liya

Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya

Uth jayenge majaz ke parde bhi sheikh agar
Aankho mein khak-e paye nabi ko saja liya

Na len wo sun na payen payami se aur mujhe
Go khwab mein sahi pa-madine bula liya

Mujhse gunahgar ko apna bana liya
Sab jante hue bhi gale se laga liya

Jane tha wo mijaz-e girami-e-mustafa
Do ansuon se shah ne unko mana liya

Ahmad-o-mujtaba
Ahmad-o-mujtaba

User Rating: 4.66 ( 4 votes)
4.5 2 votes
Article Rating
Tags
Subscribe
Notify of
guest
6 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
Tahir
Tahir

SUBUHAAN ALLAH Wal Hamdulillah Allah Hu AKBAR

Ahmed rajput

mubark ho muslmano mubark raat aayi hai naat upload kar do

Ahmed rajput

mubark ho muslmano mubark raat aayi naat upload kar do

Ahmed rajput

nice

Ahmed rajput

PURI UPLOAD KARO

6
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x
Close
Close