
Aqib FaridArtistUrdu
Maula Ya Salli Wa Sallim
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Sehar ka waqt tha
Maasoom kaliyan muskurati thin
Hawayen khair maqdam ke
Tarane gungunati thin
Abhi Jibraeel (A.S) bhi utre na the
Kaabe ke mimber se
Ke itne me sada aayi
Ye Abdullah ke ghar se
Mubarak ho shah-e-har-do-jahan
Tashreef le aaye
Mubarak ho Mohammad (SAW)
Tashreef le aaye
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Na koi aap jaisa tha
Na koi aap jaisa hai
Koi Yousuf (AS) se pooche
Mustafa ka husn kaisa hai
Zameen-o-aasmaan me koi
Bhi misaal na mili
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Daleel-e-zindagi wo hain
Kamal-e-bandagi wo hain
Koi bhi daur ho us mein
Meraj-e-aadmi wo hain
Wo hi to deen-o-duniya hain
Jo baaten aapne kahin
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Koi bhi baat ho har hukm
Unka muttbar aisa
Ke unka haan nahin kahna
Bhi hai Quran ke jais
Hadees-e-paak kahlaayin
Jo baaten aapne kahin
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Salam uspar ke jisne
Beksason ki dastgeeri ki
Salam uspar ke jisne
Baadshahi mein faqeeri ki
Salam uspar ke jiske paas
Na chandi tha na sona tha
Salam uspar ke toota boriya
Jiska bichhona tha
Darood unpar, salam unpar
Yahi kahna khuda ka hai
Khuda ke baad jo hai
Martaba salle ‘Ala ka hai
Wo hi sardar-e-alam hain
Wo hi gham khwar-e-ummat hain
Wo hi to hashr ke maidan mein
Sab ki shifa’at hain
Shifa’at ke liye sabki nazar
Unpar lagi hogi
Maula ya salli sa sallim da iman abada
A’ala habib bika khayril khalqi kullihimi
Plzzzz batay kia copyright fre hai m youtube channal k lia y lo naat