ArtistNouman Shah BukhariUrdu

Meri Qismat


2878 downloads

Allah mere Allah
Allah mere Allah

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Mere honthon pe hardam rahe goonjte
Apne aaqa (saw) ki tareef ke zamzame

Iske badle mujhe hashr aur qabr mein
Rahmaton ne ho ghera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Rashk mere muqaddar pe karne lage
Sab farishte bhi hooren bhi ghilman bhi

Kamli waale ke qadmon mein yun jaake main
Daal dun apna dera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Ae khuda jism par baazuon ki jagah
Apni qudrat se tu par laga de mujhe

Din ko udta phirun gird kaabe ke shab
Ho madeene basera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Sabz gumbad ko mushtaq nazron se main
Tiktiki baandh kar aise takta rahun

Lab par salle ‘Ala ka mere wird ho
Dam nikal jaaye mera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Ae khuda apne mahboob barhaq ki tu
Khwab mein hi ziyarat kara de mujhe

Mustahiq to nahin main is aizaz ka
Fazl ho jaye tera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Ab to jee me hai jakar wahin jaa basun
Maut aaye to aaye wahin par mujhe

Ho madeene ki galiyon ka is martaba
Is tarah ka jo phera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat hai

Roz-e-mahshar karam yun ho salman par
Jab pareshan khada ho wo meezan par

Aake khud wo farishton se kah de wahan
Yeh sana khwan hai mera to kya baat hai

Meri qismat ka mere khuda tu agar
Door karde andhera to kya baat hai

Hijr ki tundu tareeq raaton ka ab
Ho haram me sawera to kya baat haiĀ 

Tags

2 Comments

Leave a Reply

Close
Close