
ArtistJunaid JamshedUrdu
Shab-o-Roz
Naseeman janib-e-bat’ha guzar kun
Zey ahwalam mohammad ra khabar kun
Bey bareen jan-e-mushtaqan dar’a Ja
Fida-e-rauza-e-khair-ul-bashar kun
Shab-o-roz ab to yahi hai duayen
Khuda din wo laye madine ko jayen
Nazar ayen jis dam haram ki fizayen
Bahar kaam apni nigahen bichhaye
Arab ke bayanban ka har zarrah choome
Ghubbar-e-haram ko gale se lagayen
Wo duniya ki jannat wo jannat ki duniya
Mo’amber hawayen muattar fizayen
Jahan par hain insan jaise farishte
Mehakti hain har soo abayen qabayen
Kabhi masjid-e-fath-o-nusrat ko dekhen
Kabhi ja ke le len Ohad ki balayen
Kabhi door se sabz gumbad ko dekhen
Kabhi paas aa kar nigahen jhukayen
Karen jaliyon par in ankhon ke sadqe
Mawaja me ashkon ke moti lutayen
Idhar se umadten hon ashe-e-nedamat
Udhar rahmaton ki barasti ghatayen
Tasawwur jab apni khataon ka aye
Bhula de sab unki musalsal ataye
Fizaaon me naghamah ho salli ala ka
Salam-o-alaikum ki lab par sadayen
Dua hai ye kaifi ke is saal ham bhi
Madine ke deewar-o-dar dekh aayen
Shab-o-roz ab to yehi hai duayen